Dil mein kuch armaan abhi samaye hue hain
Chalkti Aankhon mein aanson abhi aaye hue hain
Wo jaa rahe hain apne pyar ko mara hua jaankar
Koi jake batla do unhe hum bhi unka pyar paane aaye hue hain...........
Thursday, December 23, 2010
Aaj ye vadiyan humein soi soi si nazar aati hai...........
Aaj ye vadiyan humein soi soi si nazar aati hai
Saari Duniya inmein khoi khoi si nazar aati hai
Mein is duniya ko jagana chahta hoon
Lekin meri khud ki awaj hi inmein khoi khoi si nazar aati hai
Aaj ye wadiyan humein khoi khoi si nazar aati hain
Is duniya mein jab talash karne jata hoon pyar ko
To pyar kisi ki Nazaron mein nazar aata nahi hai
Kisi ko apna banane jata hoon
To koi gale se lagata nahi hai
Mujhe to ab ye saari duniya begani si nazar aati hai

Jab tum mile mujhe is jahan mein
Aisa laga mujhe jeevan bhar ka sahara mil gaya
Zindgi mein jitne bhi dukh dard hain
Unhe apni nazauk si muskurahat se door karne wala mil gaya
Lekin aaj mujhe wo khud hi roi roi si nazar aati hai

Kya mere or tumhare dukh ki is duniya mein koi dawa nahi hai
Jahan hum pyar se saans le sakein aisi koi jagah nahi hai
Mein dena chahta hoon tumhe zindgi bhar ki khushiyan
Lekin aaj mujhe ye khushiyan hi roi roi si nazar aati hain

Tuesday, December 21, 2010
Ye Naam Pata bahut Jalim hota hai..........
Ye Naam Pata bahut jalim hota hai,
Doston ko begana bana deta hai
Dost ka koi thikana nahi hota,
Wo to dil mein rahta hai or wahin uska thikna hota hai
Ye Naam Pata bahut jalim hota hai
Is Duniya mein sab apne hain,
Phir bhi har koi Begana hota hai
Jab in Begano mein koi apna milta hai,
To unka ye jamana Begana hota hai
ye naam pata bahut jalim hota hai
Jab Suraj ne Chaand se uska Pata pooncha,
To usne bhi sharmate hue keh diya
Jo roshan teri roshni se hai,
Wo kaha tumse juda hota hai
Tumhari garmi se roshan hoon mein,
Or aaj tu hi mujhe begana kerta hai
Hum to teri roshni se jalne wale hain,
Tera hi har gum peene wale hain
Jab tum raat ko duniya ko andhere mein bagena chod jaate ho
Yo ye Gagan mujhmein roshan teri hi roshni se hota hai
Ye naam pata bada jalim hota hai
Ik Phool ne Bhware se pooncha
Ki tu din mein mere aage peeche ghoomta hai
Jara bol to Raat mein kaha tu rehta hai
To Bhaware ne uske shahad ko apne hotho se lagaya or kaha
Jaam tere labon se pee liya karta hoon
Teri hi bahon mein din mein aram kar liya karta hoon
Raat ko to is jaam se kaam karna hota hai
Or jo kabhi teri hi bahon mein dum tod dein hum
To yahan marne ka gum kaun kiya karta hai
Ye naam pata bahut jalim hota hai

Kuch beete lamhe jab laut ke aate hain..

Gam ke saaye wo saath me laate hain...
Hum jitna bhi chaahein aaine ke saamne muskuraana..
Na jaane aansoon kahan se Aankhon me bhar aate hain...
Apni duniya ko aaj bhi Khwaabon se sajaate hain..
Aankh khulte hi yeh sab toot jaate hain...
Jaante hain na sach hoga ab koi Sapna humara...
Phir bhi aankhon me woh sunehre Sapne sajaate hain...
Khal rahi hai yeh doori sochte hain ab 'Laut aate hain'..
EK pal bhi na tumhare bina hum khushi se jee paate hain...
Par manjur na hoga humara milan fir se is zaalim duniya ko..
Bas yahi soch kar fir "Chaahat" ke kadam khud hi ruk jaate hain...
Hum jitna bhi chaahe aaine ke saamne muskuraana..
Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aate hain...

Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aate hain..
Subscribe to:
Posts (Atom)