Tuesday, December 21, 2010

Kuch beete lamhe jab laut ke aate hain..

Kuch beete lamhe jab laut ke aate hain..
Gam ke saaye wo saath me laate hain...
Hum jitna bhi chaahein aaine ke saamne muskuraana..
Na jaane aansoon kahan se Aankhon me bhar aate hain...
Apni duniya ko aaj bhi Khwaabon se sajaate hain..
Aankh khulte hi yeh sab toot jaate hain...
Jaante hain na sach hoga ab koi Sapna humara...
Phir bhi aankhon me woh sunehre Sapne sajaate hain...
Khal rahi hai yeh doori sochte hain ab 'Laut aate hain'..
EK pal bhi na tumhare bina hum khushi se jee paate hain...
Par manjur na hoga humara milan fir se is zaalim duniya ko..
Bas yahi soch kar fir "Chaahat" ke kadam khud hi ruk jaate hain...
Hum jitna bhi chaahe aaine ke saamne muskuraana..
Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aate hain...

No comments:

Post a Comment