Tuesday, December 21, 2010

Ye Naam Pata bahut Jalim hota hai..........

Ye Naam Pata bahut jalim hota hai,
Doston ko begana bana deta hai
Dost ka koi thikana nahi hota,
Wo to dil mein rahta hai or wahin uska thikna hota hai
Ye Naam Pata bahut jalim hota hai

Is Duniya mein sab apne hain,
Phir bhi har koi Begana hota hai
Jab in Begano mein koi apna milta hai,
To unka ye jamana Begana hota hai
ye naam pata bahut jalim hota hai

Jab Suraj ne Chaand se uska Pata pooncha,
To usne bhi sharmate hue keh diya
Jo roshan teri roshni se hai,
Wo kaha tumse juda hota hai
Tumhari garmi se roshan hoon mein,
Or aaj tu hi  mujhe begana kerta hai
Hum to teri roshni se jalne wale hain,
Tera hi har gum peene wale hain
Jab tum raat ko duniya ko andhere mein bagena chod jaate ho
Yo ye Gagan mujhmein roshan teri hi roshni se hota hai
Ye naam pata bada jalim hota hai

Ik Phool ne Bhware se pooncha
Ki tu din mein mere aage peeche ghoomta hai
Jara bol to Raat mein kaha tu rehta hai
To Bhaware ne uske shahad ko apne hotho se lagaya or kaha
Jaam tere labon se pee liya karta hoon
Teri hi bahon mein din mein aram kar liya karta hoon
Raat ko to is jaam se kaam karna hota hai
Or jo kabhi teri hi bahon mein dum tod dein hum
To yahan marne ka gum kaun kiya karta hai
Ye naam pata bahut jalim hota hai
Ye naam pata bahut jalim hota hai

No comments:

Post a Comment